Monday, May 26, 2014

Kitaabain Jhankti Hain band almari ke Sheeshon se

Kitaabain Jhankti Hain Band Almari Ke Sheeshoon Se


Kitaabain jhankti hain band almari k sheeshoon se,
bhari hasrat se takti hain maheenon ab mulaqaatain nahi hoti,
jo shamaain un ki suhbaat main katta karti thein,
ab aksar guzar jati hain computer k pardoon par,

badi bay chain rehti hain kitaabain
inhain ab neend main chalnay ki aadat hogai hai,
badi hasrat se takti hain jo qadrain jo woh sunatein thein,
ke jin ke sal kabhi martay nahi thein
woh qadrain ab nazar aati nahi ghar main



jo rishtay woh sunati thein woh saray udhrhay udhrhay hain

koi safha palat ta hoon to ik siski nikalti hay --------

kai lafzoon k mainee gir paray hain

bina patoon k sookhay dhund lagtay hain woh sab alfaaz

jin pe ab koi maani nahi hotay

bohat sii istalhain hain jo matti k sokorron ki tarah bikhri pari hain

classon main unhain makri ka dala





zaban pe jo aata tha zaiqa safhay paltnay ka

ab ungli click karnay se aik jhapki guzarti hai

bohat sa teh ba teh khulta chala jata hai

kitaboon se jo zaati rabta tha, kat gaya hai



kabhi seenay par rakh kar lait jate thay

kabhi goudi main laytay thay

kabhi guthnoon ko apnay rehal ki sorat bana kar

neem sajday main parha kartay thay,chotay thay jabeen se



Khuda nay chaha to woh sara ilm milta rahay ga baad main bhi

magar woh jo kitaabon main mila kartay thay sookhay phool ---------



kitabain mangnay girnay uthanay k bahanay rishtay

bantay thay un ka kia hoga!!!??/!!!



woh shayad...... ab nahiin hoon gay!!


Kitaabain Jhankti Hain

-- By Gulzar

No comments:

Post a Comment

Popular Posts